जितना भी पानी भरो नही भरता यह घड़ा -
Rajsthan ke pali jile main sheetla Mata ka mandir hai. Mata ke mandir main sthit aadha feet gehra aur aadha feet chora gada logon ke darshano ke liye khola jata hai.
Kareeb 800 salon se lagatar saal ke 2 bar yeh gada samne laya jata hai. Abhi tak isme 50 lakh leter se jayada pani bhara ja chuka hai. Isko lekar manyata hai ki kitna bhi pani bhara Jaye yeh kabhi nahi bharta. Aisi bhi manyata hai ki iska pani Rakshsh pita hai. Jiske Karan yeh kabhi nahi bharta. Vaigyanic bhi abhi tak iska Karan pata nahi Kar paye hain.
Sthaniya logon ke anusar Kareeb 800 salon se gaon main yeh parmpra chali aa rahi hai. Gade se pathar saal main 2 bar hataya jata hai. Pehla Sheetal saptami par aur dusra jyeshth mas ki Purnima par. Dono mauko par gaon ki mahilaye kalash bhar bharkar pani bharti hain. Par yeh nahi bharta. Ant main Pujari manyata ke anusar Mata ke Charno se lagakar doodh
ka bhogh lagata hai. Tab yeh gada bharta hai. Bhogh lagakar ise pathar se band kar diya jata hai.
राक्षस के बारे में मान्यता -
Aisi manyata hai ki aaj se Kareeb 800 saal pehle Babra naam ka Rakshsh tha. Ish Rakshsh ke atank se gaon ke log pareshan the. Yeh Rakshsh Brahmano ke ghar main jab bhi koi shadi hoti to dulhe ko mar deta tha. Tab Brahmano ne Sheetla Mata ki tapsya ki. Uske bad Mata Brahman ke sapne mai aaye aur usko bataya ki uski bati ki saadi ke din Rakshsh ko mar degi. Bibah ke samay Mata choti Kanya ke roop main maujood thi. Bibah ke samay Mata ne Rakshsh ko gutno main dabochkar mar diya. Usi dauran Rakshsh ne Mata se mafi mangkar bardan manga ki garmi main use pyas bahut lagti hai , isliye use saal main do bar
Pani pilaya jaye. Mata ne use bardan de diya. Usi samay se yeh parmpra chali aa rahi hai.
जय माता दी।
No comments:
Post a Comment